| Apne
Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi Teri Hi Yaad Main Gum Rahi Phir Bhi Jaane Kyon
Yeh Ihsaas Hai Jaise Chaahat Meri Kam Rahi |
Ek Musafir Ne Raat
Pichlay Pahar Apne Mehboob Ke Na Aane Par Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar* |
|
Kal Mila Waqt To
Zufain Teri Suljha Doonga Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main Yoon
To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main |
Dil Ko Manana Gar
Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari
Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan* |
|
Sookh Jaate Hain
Lub, Lufz Milte Nahi Hota Nahi Humse Ishq Bayaan Unhe Kaise Bataoon Dil
Ki Lagi Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan** |
Hum Bewafa Har
Giz Na Thay Par Hum Wafa Kar Na Sakay Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay**
|
| Khudaa
jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai Kadam chun chun kar rakhti
ho kamar balkha hi jaati hai * |
Aansoon ko aankhon
ki dehleez par laya na karo Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain Apne Zakham kisi ko dikhaaya
na karo |
|
|
| Mohbbat
karna koi zulm nahi, Agar ki jaye usool se, Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se** | Chaand
raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko Ik hamara hi naseeba hadiyan turva
gaay Hum the chaand ke nazaare main khoye hue Bus achanak chand ka abba
wahan pe aa gaya |
| Hui
hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe** | Dil
si cheez hai, dene ko hai de day Magar koi qabeel bhi to ho Hum to jaan
de kay bhi khush hain Magar koi qateel bhi to ho* |
| Yehi
Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat
nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to
koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar
tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi | Ishq
ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain zakhm kaise bhi hon, kuch roze
main bhar jaate hain Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi Itne
roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain Nurm aawaaz, bholi baatain,
mohazzab lehjaa Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain Raasta
roke khari hai, wahi uljhan kab se Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate
hain |
| *Jab
Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki
Zanjeerain hain Torna | Dekha
Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain Yeh Zindagi Hai Jaise, Din
Ho Hisaab Ka |
| Woh
To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar
Jayega Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega Kya Khabar Thi Ke
Rug-E-Jaan Main Utar Jayega | Jab
Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah Khushbu
Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah |
| Ashq
Mile To Pee Lete Hain Aap Kahe To Mar Jayen Hum Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain** |
Har Ek Baat
Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir
Lahoo Kya Hai |
| Apni
Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar
Jaane De Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko Sonchta Hoon Kahoon
Tujhse, Magar Jaane De Yeh
Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain
Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare
Hain, Tumhain Kya Maalum | Falak
Ke Teer Ka Kya Nishana Tha Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan
Aana Tha |
| Aisa
lagta hai zindagi tum ho Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki
chaandini tum ho ** | Ab
koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se
wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho? |
|
Tujhko dekhenge
to sitare bhi Zia maangen ge Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge Apne
maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange
ge | *Zindagi
Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi
Aate Hain Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain Jo Unhe Doond lete
hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain. |
|
Waqt Ke Saath
Badal Jaaye Use Pyaar Nahi Kehte Musibat Se Jo Darr Jaaye Use Yaar
Nahi Kehte ** | Baat
karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi
to na thi le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar be-qaraari tujhe
ae dil kabhi aisi to na thi |
| Bhoolne
waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil
ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon
aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke
dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala
ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao
to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida |
Ruth gya hai
mujhko manane waala Ab koi nahi naaz mera uthaane wala Per jaane kya sonchta
hai Yeh khula darwaaza** Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala |
| Rait
par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya
na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad
sunaya na karo ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho pyaar ke zakhm
amaanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo |
*Humne kitni
koshish ki unhe manane ki, Na Jaana Kaha se seekh li unhone Yeh Ada Zidd
par utar jaane ki. |
| Mera
Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar
Hoga | Mere
Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja Mere seenay main kaye aur bhi ghum
paltay hain Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar Meri aankhon
main udaasi kay diye jalte hain |
| Rukta
bhi nahi, theek se chalta bhi nahi Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi
nahi Is umar key sehra say teri yaad ka baadal Talta bhi nahi aur barasta
bhi nahi | Daastaan-e-gham-e-dil
unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko
ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai
na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa
di woh bujhaai na gayi |
|
|
| Mana
teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum
nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar
ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise
kahen ki tere gunahgaar hum nahi..... | Koi
ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan
hai need kyon raat bhar nahin aati aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati janta hoon sababe-taato-zahad par tabeeat
idhar nahin aati Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon, varna kya baat kar
nahin aati kyon na cheehkoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki maut aati hai par nahin aati kaba kis munh
se jaoge Ghalib sharm tumko magar nahin aati |
|
Aye mohabbat tere
anjaam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to har
shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe
rona aaya... Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam
pe rona aaya..... | Koyi
dost hai na koi rakeeb hai Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra
pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai |
| Aaj
ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi, gaye woh din jab
humne unse umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat
ho gayi** | Is
hasrat se mila kya mujhko Ik jhalak mere dildaar ki Is muhabbat se mila
kya mujhko Bechaini-o-beqarari yaar ki, Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki, Aur tere pyaar se mila kya mujhko Ik raah jeene
ki hamvaar si. |
| Na
jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki, badi aarzoo thi mulaqaat ki, Kaye
saal se kuch Khabar hi nahin, kahaan din guzaaraa kahaan raat di |
Main chup tha
tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, Sitaaron
ko shaayad khabar hi nahin, musaafir ne jaane kahaan raat ki... |
| Chaman
ki bahaaron mein tha aashiyana na jaane kahan kho gaya vo zamana tumhen
bhuulane ki main koshish karunga ye vaada karo ke na tum yaad aana mujhe
mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa kah raha hai zamana Khudara
meri qabr pe tum na aana tumhen dekh kar shaq karega zamana |
*Chehre pe haseen
chaa jati hai Aankhon main suroor aaa jata hai Jab tum mujhe apna kahte
ho Apne pe ghuroor aa jata hai |
|
*Wada to ker lete
hain Nibhana bhool jate hain Lagaaa kar aaag seene main Bujhana bhool
jate hain | Kuchh
na kisi se bolenge tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bhaid na kholenge
jeevan zahar bharaa saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii
'Faraz' maut aai to so lenge |
|
Kaun kehta hai
mohabbat ki zuban hoti hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye to khalish aur
jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey... Har nazaaray
mein yeh tanveer kahan hoti hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain Zindagi ek sulgati see chita
hai `Sahir'... Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun
kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti
hain | Aisa
lagta hai zindagi.... tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen
par ghana andhera hoon... Aasmaanon-ki chandni tum ho Ab koi aarzoo nahin
baaki......... justajoo meri aakhri tum ho Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho? |
| Tu
kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera
naam to hai ....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane
mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na
sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai .... Dekh kar log mujhe
naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" shukr is dil-e-bimaar
ko aaraam to hai ... | Badanaam
mere pyaar kaa afsana hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa
hua hai ........ Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote
huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai ..... Mausam ne banaya
hai nigaahon ko sharaabi jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ... |
| Apne
haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne
aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte
ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon
ho, dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa
hai jab mera muqaddar phir tum, mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, milne aate ho to phir laut ke
jaate kyon ho ... | Dost
ban ban ke mile mujhko mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane
vaale ........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par tumse
acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa
kartaa hoon aur honge tere baazaar mein bikne vaale ...... Aakhrii daur
pe salaam-e-dil-e-muztar le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
...Saeed rahi |
|
|
| *Gul
mohar ki kataar jaisi ho, Wadiyon main bahaar jaisi ho, Paayalo.n ki chum
chum chum si, Chand meri yaar , kaisi ho? |
Khoob aati hai
jab bhi aati hai, Yaad teri bahot sataati hai, Dhoop main,chaanw main,
ghataao.n mai.n, Teri soorat ubhar ke aati hai |
|
Raat bhar neend
hi naa aaye to , Ashq aankhon main chhal chhalaaye to, Kyaa hua hai bataaiye
kaise, Yaad koi bahot hi aaye to | *Tumne
Bhi Rangoli Sajayi Hogi Matwaali Diwaali Manayi Hogi Bujha Hua Chirag
Dekhkar Humari Yaad to Aayi Hogi |
|
Hum Jaise Barbaad
Dilo Ka Jeena Kya Aur Marna Kya Aaj Teri Mehfil Se Uthe Hai Kal Duniya
Se Uth Jaayenge | Kuchh
na kisi se bolenge, tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa, saath
kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin, tera bhaid na kholenge jeevan
zahar bharaa saagar, kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz', maut
aai to so lenge..... |
| Ranjish
hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye
aa....... Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya
hi nibhane ke liye aa.... Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu
mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ......... kuch tou mere pindaar-e-mohabbat
ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa..... ek umr
se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane
ke liye aa... ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii
shammen bhi bujhaane ke liye aa ....Ahmed faraz |
kuchh na kisi
se bolenge tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa saath
kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bhaid na kholenge jeevan
zahar bharaa saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz |
|
Kaun kehta hai
mohabbat ki zuban hoti hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye to khalish aur
jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey... Har nazaaray
mein yeh tanveer kahan hoti hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain Zindagi ek sulgati see chita
hai `Sahir'... Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun
kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti
hain | Aisa
lagta hai zindagi.... tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen
par ghana andhera hoon... Aasmaanon-ki chandni tum ho Ab koi aarzoo nahin
baaki......... justajoo meri aakhri tum ho Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho? |
| Tu
kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera
naam to hai ....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane
mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na
sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai .... Dekh kar log mujhe
naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" shukr is dil-e-bimaar
ko aaraam to hai ...Sabir Jalalabadi | Badanaam
mere pyaar kaa afsana hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa
hua hai ........ Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote
huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai ..... Mausam ne banaya
hai nigaahon ko sharaabi jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ... |
| Apne
haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne
aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte
ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon
ho, dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa
hai jab mera muqaddar phir tum, mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, milne aate ho to phir laut ke
jaate kyon ho ... | Dost
ban ban ke mile mujhko mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane
vaale ........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par tumse
acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa
kartaa hoon aur honge tere baazaar mein bikne vaale ...... Aakhrii daur
pe salaam-e-dil-e-muztar le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
... |
| Bhoolne
waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil
ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon
aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke
dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala
ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao
to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida |
Bebasii jurm
hai hauslaa jurm hai zindagi teri ik-ik adaa jurm hai aye sanam tere
baare mein kuch sochkar apne baare mein kuch sochna jurm hai yaad rakhna
tujhe mera ek jurm tha bhool jana tujhe doosra jurm hai kya sitam hai
ke tere hasin shehar mein har taraf gaur se dekhna jurm hai |
| *Sheeshe
ke gharon main dekho to Putther dil wale buste hain Jo pyar ko khail samajhte
hain Aur tor ke dil ko haste hain | Gar
hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka
Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna Naam apna bhi hota aala muqaam
ka |
|
|
| Aur
bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath Yeh batayaa doston ne
ishq furmane kay baad Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main
Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad |
Kaate nahi kat
te hain lamhe intezaar ke Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke Layaa hai koun inko, phalak se
utaar ke |
| Ishq
ke lamhe sharaab lagte hain Kuch chehre mehtaab lagte hain Dukh itne
sahe mohabbat main guzre hue Ke har lamhe hi azaab lagte hain |
Daastaan-e-gham-e-dil
unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko
ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai
na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa
di woh bujhaai na gayi |
| Rait
par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya
na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad
sunaya na karo ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho pyaar ke zakhm
amaanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo |
Mana teri nazar
mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud
ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar
hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki
tere gunahgaar hum nahi..... |
| Koi
ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan
hai need kyon raat bhar nahin aati aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati janta hoon sababe-taato-zahad par tabeeat
idhar nahin aati Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon, varna kya baat kar
nahin aati kyon na cheehkoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki maut aati hai par nahin aati kaba kis munh
se jaoge Ghalib sharm tumko magar nahin aati |
Aye mohabbat tere
anjaam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to har
shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe
rona aaya... Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam
pe rona aaya..... Koyi
dost hai na koi rakeeb hai |
| Tera
shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna
qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb
hai | Aaj
ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi, gaye woh din jab
humne unse umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat
ho gayi |
| Is
hasrat se mila kya mujhko Ik jhalak mere dildaar ki Is muhabbat se mila
kya mujhko Bechaini-o-beqarari yaar ki, Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki, Aur tere pyaar se mila kya mujhko Ik raah jeene
ki hamvaar si. | Na
jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki, badi aarzoo thi mulaqaat ki, Kaye
saal se kuch Khabar hi nahin, kahaan din guzaaraa kahaan raat di, Main
chup tha tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, musaafir ne jaane kahaan raat ki...
|
| Chaman
ki bahaaron mein tha aashiyana na jaane kahan kho gaya vo zamana tumhen
bhuulane ki main koshish karunga ye vaada karo ke na tum yaad aana mujhe
mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa kah raha hai zamana Khudara
meri qabr pe tum na aana tumhen dekh kar shaq karega zamana |
Baat karni mujhe
mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar be-qaraari tujhe ae dil
kabhi aisi to na thi |
| Bebasii
jurm hai hauslaa jurm hai zindagi teri ik-ik adaa jurm hai aye sanam
tere baare mein kuch sochkar apne baare mein kuch sochna jurm hai yaad
rakhna tujhe mera ek jurm tha bhool jana tujhe doosra jurm hai kya sitam
hai ke tere hasin shehar mein har taraf gaur se dekhna jurm hai |
Sheeshe ke gharon
main dekho to Putther dil wale buste hain Jo pyar ko khail samajhte hain
Aur tor ke dil ko haste hain |
| *Suraj
ko diya dikhane se kya fayeda, laash ko aag lagane se kya fayeda, Aye
shahjahaan, mumtaz to jaa chuki Ab laash pe taj banane se kya fayeda |
Hasti aaankhain,
hastaaa chehra Ek mujboor bahana hai Chaand me such mouch, noor kahan
hai Chaand to ek viraana hai Mujhko tanha chor ne waale Tu na tanha
rah jaye Jis pe tujh ko naaz hai itna Uska naaam zamana hai |
| Mere
rooh ki haqeeqat Merey aansoo se pucho Mere keh kahon ki duniya Mere
tar juman nahin hai | Tum
mujhe bhool kar to dekho Har khushi routh jayegi Jab akele tum baithogi
Khud-ba-khud meri yaad aayegi |
| |
| Bhoolne
wale se koyi keh de zara, Is tarah yaad aane se kya fayeda, Jab mere dil
ki duniya basti nahi, Phir khyalon main aaane se kya fayeda, Aasra de
ke dil tor te hain mera, Is tarah sataane se kya fayeda, Mujh pe bijli
girao to jaanu sahi, Aashiane par girane se kya fayeda |
Yeh ladki jawani
main, jawani se, jawano ko tarpaye gi Aankhon se karegi qatal, aur labon se
muskaraye gi |
| Baat
karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi
to na thi le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar be-qaraari tujhe
ae dil kabhi aisi to na thi | Raat
itni haseen thi Ke saare so rahe the Hum hi aise badnaseeb the Jo
aap ki yaad main ro rahe the** |
| Yaaron
mar bhi gaya to, Aarti meri dafnaa dena Utha kar janaza mera, Unki
gali ghuma dena Agar wo mera pata puche to Shamshaan ghaat bata dena
| Dushman
tarse teri dosti ko, Dost tarse teri yari ko, Yar tarse pyar ko, hum
tarse tere DIDAR ko!** |